Friday, July 27, 2012

Milaawat

Mere kavitaon ke panno par tere rang ghulne lage,
Tere canvas pe mere lafzon ka naksh utarne laga,

Milawatein hamesha ghalat kahan hoti hai...

Wednesday, July 18, 2012

bukhaar

Sir chakra jata hai kabhi,
Chaal bhi bahek jati hain,

nasha nahin,bukhaar chadha hai....

Thursday, July 12, 2012


Teri wafaa pe to pehle se hi yakeen na tha,
Magar maan liya apna tujhe, thukraya nahi.

Socha ke kuch to karu, khudkhushi hi sahi… 

Tere ansuon se bhar gaya hai dil aj,
 Qahar bhi macha aur lehar bhi uthi

Apna gham to baatne layak tha hi nahin…

Friday, July 6, 2012

Aaina hoon main...


Tune kaha har cheez jala do meri,
Maine yeh baat bhi na maani teri.


Nahin to kabka jal chuka tha 'Aaina'...

Monday, July 2, 2012

Tedi medi uljhi baaton ko chhodo bhi ab,
Aur mere sidhe jazbaat ko kaske pakdo.

Hairani tab bhi thi, pareshani ab bhi hogi....